
Kuch dino se aasman ka mood thik nahi tha. Kuch kehta nahi tha, kuch sunta nahi tha, bas din-b-din gehrata jaata. Kal jo mann bhar aaya aakhirkar jee bhar ke roya...ek arse baad. Saari duniya bhigouni thi use apne aansuon se.
sadakein sunsaan ho gayi,kahi chhat rone lagi, kuch naalon me pur aa gayi,kahin kisi kone kuchalon me raah chalte log aasra le rahe the....
Aur door kahin ek kacche raaste par ek kahani bheeg rahi thi.
Uss kahani mein do panchhi the, chup chaap paidal chalte hue, kabhi chehchahaate...kabhi fadfadaate fir kahani ke do siron parr chupchaap chalte jaate. Ehsaas bhi nahi reh jaata unko boondon ka, raste ka.
Kabhi kagaz ki naav tairate, kabhi luka chhupi se mann behlaate, kabhi yun hi vapas laut aate aur phir kabhi bheegi daaliyon ki aas lagate. Yaad rahe unki chahak kabhi kam na hoti thi. Bas ek tak dekhte rehte, chalte rehte, dekhte rehte, chalte rehte.
Kahin door kisi din dono pankh pakad kar chal rahe the....ki kisi ne patthar maar diya.
Tab se bas do pancchi hain aur do pankh.
Kabhi kabhi dono pankh pakad kar udane ki koshish karte hain.....aakhir udane ko to do hi pankh kafi hain. Ek din shayad ud bhi jaaen kahin...is duniya se door......abhi to paidal chal kar hi saath hain, khush hain.
Yeh toh bas ek tukda hai....uss bheegi kahani ka jo maine is ummeed me kagaz par utaara ki jab bhi kabhi koi in panno ko paltega to ek bheega hua pankh milega, ek geeli kahani aur saundhi si mitti ki khushboo.
Aaj bhi aasman ka mood kuch thik nahi lagta...fir apne badal halke karne chala hai.


