Main kuch kehna nahi chahti
isliye likh rahi hu
PC par gaane chal rahe he
Living room mein TV
aur main apni khamoshi likh rahi hu
bade shauk se apne kamre ki chchat par
machliyan banayi thi mene
deewar par lagi seelan ko dekh
ek painter ka pagalpan likh rahi hu
phone karti hu kisi ko
baatien bhi hoti
jab kehne ko kuch nahi hota
tab bhi meri khamoshi kuch kehti rehti he
meri khamoshi ki bechaini likh rahi hu
bahut din hue kuch likha nahi
jo likhti thi main bhari bharkam urdu me
aaj vaisa kuch mila nahi
isliye to aaj itna sadapan likh rahi hu
kitne din ho gaye
aapne aap se mile
aaj ghanto baithi me apni pencil ke saath
jo baatien ki usse
aaj me vo bachpan likh rahi hu
sekdo gaadiyon ke beech aaj safar karke aayi
Curfew mein shahar sunsaan ho gaya
saare parivaar ke saath baith
mein apna akelapan likh rahi hu
Some instances and accidents of self exploration....may interest you, may bore you, but its all about wonders and blunders of heart and mind :) welcome.....
Saturday, July 5, 2008
Cadbury's Eclairs

meri jindagi ka har din cadbury's eclairs ke jaisa ho chala hai
har dusre dukandaar ke paas thok me milti he
baccho ko bada attract karti he
jab khate he ise to muh meeta kar deti he
lekin chabate chabate daanto mein ghar kar leti he.
vaise hi mera har din hardusre insaan sa ho chala he
shuru hota he to acha lagta he
aage badhta he to bojh lagne lagta he
kabhi kabhi kuch aisa hota he jisse mithas aati he
fir bhi thoda thoda chewing gum sa lagta he
jaise hi 5 bajte he Eclairs khatam karne ki baichani hone lagti he
jab raat hoti he to ek ajeeb sa sukoon milta he
Eclairs ka ek swaad rehta he
bura lage to brush kar dete he
varna aise hi so lete he
kabhi kabhi aisa lagta he
bahar se GOLDEN WRAPPER kitna acha lagta hoga na....
Pencil

Aaj itne dino baad
maine apna favourite kaam kiya
diary ke kore kagaz ko
Pencil ke daag se badnaam kiya
maine jabse likhna seekha
na jaane kyu pencil se bada pyaar hai
kuch likhna nahi hota fir bhi
Pencil ki nukki karti thi
saare ghar ko sharpner ke kachre se bharti thi
aaj bhi mujhe likhna accha nahi lagta
mein to Pencil ki nukki karne ke liye likhti hu
Subscribe to:
Posts (Atom)